Wednesday 28 December 2011

Allah Ke Noor Ki Misaal ( The Parable Of Allah's Noor ) !

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh !!!

Peace And Blessings Of Allah Be Upon All His Righteous Slaves !!!

There are certain Ayah's from The Noble Quran which are very dear to me, one of those being the most dear is from the chapter titled Surah-NOOR, the ayah being famously known as Ayaht-E-Noor. The Ayah bears the title Noor as it is an example given to mankind from Allah(S.W.T) to express the delight and magnificence of His Noor. In the absence of  its recital, my day and night are incomplete. The beauty and essence of the Ayat is such that it makes us want to ponder more and more about the might and reach of Allah's light, yet no one can ever imagine.


I hereby, request everyone to take into consideration, the fact that it requires, time, love, patience and utmost humility to grasp as little to as much Allah wills to bless one with his light through his words. ,,,, PLEASE READ VERY VERY CAREFULLY !!!! 

  
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh !!! 
Quran-E-kareem Ki Chaand Aayaat Hai, Jo Mujhe Bahut Pasand Hai, Jo Ki ''Surah-Noor'' Meh Se Hai, Jismeh Allah Ke Noor Ki Misaal Hai, Iske Baghair Na Mera Din Shuru Hota Hai Aur Na Hi Raath Khatam Hoti Hai, Please Tehar Tehar Kar Parho Jo Mai Tarjuma Aap Tak Paoncha Raha Ho.






24-Surat An-Nūr (The Light) - سورة النور

Ayat No's 34, 35, 36, 37& 38

Arabic Script  :

                                           بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ

 Bismillah Hir-Rahman Nir-Rahim (With the name of Allah, the Beneficent, the Merciful)


Ayat No 34 : 
24:34

Ayat No 35 : 
24:35

Ayat No 36 : 
24:36

Ayat No 37 : 
24:37


Ayat No 38 : 
24:38


Transliteration :

Ayat No 34 : Walaqad anzalna ilaykum ayatinmubayyinatin wamathalan mina allatheena khalaw minqablikum wamawAAithatan lilmuttaqeen

Ayat No 35 :  Allahu nooru assamawatiwal-ardi mathalu noorihi kamishkatin feehamisbahun almisbahu fee zujajatinazzujajatu kaannaha kawkabun durriyyunyooqadu min shajaratin mubarakatin zaytoonatin lasharqiyyatin wala gharbiyyatin yakadu zaytuhayudee-o walaw lam tamsas-hu narun noorun AAalanoorin yahdee Allahu linoorihi man yashao wayadribuAllahu al-amthala linnasi wallahubikulli shay-in AAaleem

Ayat No 36 : Fee buyootin athina Allahu anturfaAAa wayuthkara feeha ismuhu yusabbihulahu feeha bilghuduwwi wal-asal

Ayat No 37 : Rijalun la tulheehim tijaratunwala bayAAun AAan thikri Allahi wa-iqamiassalati wa-eeta-i azzakatiyakhafoona yawman tataqallabu feehi alquloobu wal-absar

Ayat No 38 : Liyajziyahumu Allahu ahsana maAAamiloo wayazeedahum min fadlihi wallahuyarzuqu man yashao bighayri hisab


English Translation :

            In the name of Allah, Most Gracious, Most Merciful.

Ayat No 34 : And indeed We have sent down for you Ayât (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that make things plain, and the example of those who passed away before you, and an admonition for those who are Al-Muttaqûn.


Ayat No 35 :  Allâh is the Light of the heavens and the earth. The parable of His Light is as (if there were) a niche and within it a lamp: the lamp is in a glass, the glass as it were a brilliant star, lit from a blessed tree, an olive, neither of the east (i.e. neither it gets sun-rays only in the morning) nor of the west (i.e. nor it gets sun-rays only in the afternoon, but it is exposed to the sun all day long), whose oil would almost glow forth (of itself), though no fire touched it. Light upon Light! Allâh guides to His Light whom He wills. And Allâh sets forth parables for mankind, and Allâh is All-Knower of everything.

Ayat No 36 : In houses (mosques) which Allâh has ordered to be raised (to be cleaned, and to be honoured), in them His Name is remembered [i.e. Adhan, Iqamah, Salât (prayers), invocations, recitation of the Qur’ân etc.]. Therein glorify Him (Allah) in the mornings and in the afternoons or the evenings,


Ayat No 37 : Men whom neither trade nor sale (business) diverts from the Remembrance of Allâh (with heart and tongue), nor from performingAs-Salât (Iqâmat-as-Salât), nor from giving the Zakât. They fear a Day when hearts and eyes will be overturned (out of the horror of the torment of the Day of Resurrection).

Ayat No 38 : That Allâh may reward them according to the best of their deeds, and add even more for them out of His Grace. And Allâh provides without measure to whom He wills.

Urdu Tarjuma:

Main Allah Ke Naam Se Shuru Karta Hoon 

Jo Bada Mehar-baan Aur Nehaayat Rahem Wala Hai

Ayat No 34 : Aur hum ne tumhari taraf raushan aayaat naazil ki hain, aur jo tum se pehle guzar chuke hain unki misaalen parhez-gaaron ke liye naseehat hain.



Ayat No 35 : Allah Aasmanon aur Zameen ka noor hai, uske noor ki misaal ye hai goya ke ek taaq hai is mein ek charaagh hai, aur charaagh qandeel mein hai, wo qandeel aisa saaf aur shaffaf hai goya taara hai chamakta hai moti ki tarah se, wo charaagh ek mubaarak darakht se raushan kiya gaya hai jo na Jaanib-E-Mashriq mein ho na Jaanib-E-Maghrib mein, Uska tel (Olive Oil) khaah aag na bhi chhuwe jalne ke liye taiyaar hai raushni par raushni, 
Allah Apne noor se jise chaahta hai seedhi raah dikhaata hai, aur Allah misaalen bayaan karke logon ko samjhaata hai, aur Allah har cheez ka khoob jaane waala hai.


Ayat No 36 : Wo qandeel ungharon mein hai jin ke baare mein Khuda ne irshaad farmaaya hai ke buland kiya jaaen, aur wahaan Khuda ke naam ka zikr kiya jaae, aur subah-o-shaam uski tasbeeh karte rahen.


Ayat No 37 : Aise log jinko Allah ke zikr se, aur namaaz parhne se, aur zakaat dene se na to tijaarat ghaafil rakhti hai aur na hi khareed-o-farokht, wo us din se darte hain jis mein dil aur aankhen khauf aur ghabraahat se ulat jaaengi.


Ayat No 38 : Taake Allah unki unke amal ka bahot accha badla ataa farmaae, aur unko apne fazl se aur bhi zyaada dega, aur Allah jise chaahta hai beshumaar rizq deta hai.

Urdu Script :

شروع الله کا نام لے کر جو بڑا مہربان نہایت رحم والا ہے

Ayat No 34 : اور ہم نے تمہاری طرف روشن آیتیں نازل کی ہیں اور جو لوگ تم سے پہلے گزر چکے ہیں ان کی خبریں اور پرہیزگاروں کے لئے نصیحت


Ayat No 35 : خدا آسمانوں اور زمین کا نور ہے۔ اس کے نور کی مثال ایسی ہے کہ گویا ایک طاق ہے جس میں چراغ ہے۔ اور چراغ ایک قندیل میں ہے۔ اور قندیل (ایسی صاف شفاف ہے کہ) گویا موتی کا سا چمکتا ہوا تارہ ہے اس میں ایک مبارک درخت کا تیل جلایا جاتا ہے (یعنی) زیتون کہ نہ مشرق کی طرف ہے نہ مغرب کی طرف۔ (ایسا معلوم ہوتا ہے کہ) اس کا تیل خواہ آگ اسے نہ بھی چھوئے جلنے کو تیار ہے (پڑی) روشنی پر روشنی (ہو رہی ہے) خدا اپنے نور سے جس کو چاہتا ہے سیدھی راہ دکھاتا ہے۔ اور خدا نے (جو مثالیں) بیان فرماتا ہے (تو) لوگوں کے (سمجھانے کے) لئے اور خدا ہر چیز سے واقف ہے


Ayat No 36 : (وہ قندیل) ان گھروں میں (ہے) جن کے بارے میں خدا نے ارشاد فرمایا ہے کہ بلند کئے جائیں اور وہاں خدا کے نام کا ذکر کیا جائے (اور) ان میں صبح وشام اس کی تسبیح کرتے رہیں


Ayat No 37 : (یعنی ایسے) لوگ جن کو خدا کے ذکر اور نماز پڑھنے اور زکوٰة دینے سے نہ سوداگری غافل کرتی ہے نہ خرید وفروخت۔ وہ اس دن سے جب دل (خوف اور گھبراہٹ کے سبب) الٹ جائیں گے اور آنکھیں (اوپر کو چڑھ جائیں گی) ڈرتے ہیں


Ayat No 38 : تاکہ خدا ان کو ان کے عملوں کا بہت اچھا بدلہ دے اور اپنے فضل سے زیادہ بھی عطا کرے۔ اور جس کو چاہتا ہے خدا بےشمار رزق دیتا ہے


Dua: 


Aye Allah Hum Tamaam Musalmaano bhaiyo aur behano ko, Jo Ye Ayat parh rahe ho, Jo soon rahe ho unko aur mujhe bhi.


Aye Allah aap aapke noor se hume seedhi raah dikhaa dijiye . Ameen !


Aye Allah hume aapke naamo ka zikr karne ki toufeeq ataa farmaa.
Ameen !


Aye Allah hume subah-o-shaam aapke naamo ki tasbeeh karne ki toufeeq ataa farmaa.
Ameen!


Aye Allah hume namaaz parhne aur zakaat dene ki toufeeq ataa farmaa.
Ameen!


Aye Allah hume bas apki raah meh kharch karne ki taufeeq ataa farmaa.
Ameen!


Aye Allah hume Quran-E-Kareem Tarjume ke saath parhne ki aur samjhne  ki toufeeq ata Farmaa.
Ameen SumAmeen!

     Bila-shuba Allah jise chaahta hai beshumaar rizq deta hai. !


No comments:

Post a Comment